Thursday, October 14, 2010

munawwar rana


Jahan mein hoon wahan aawaz denaa jurm thehraa hai
Jahan who hain wahan tak paon ki aahat nahin jaati

Mohabbat ka yeh jazba jab khudaa ki den hai bhai
Tu mere raaste se kyuon yeh duniyaahat nahin jaati

Who mujh se be takkaluf ho ke miltaa hai magar raana
Naa jane kyuon mere chehre se ghabraahat nahin jaati

----------------------------------------------------------------------- 

 

shairi bhi meri ruswaee par aamada hai
mein gazal keh taa hoon sab marseeh khawan kehte hai

ekmuddat hue hum chikh kar roye bhi nahin
hum par jo guzri hai who hum kahan kehte hain

aap ne khul kar mohaabbat nahin ki hain hum se
aap hamen bhai nahin kehte hain miyaa kehte hain


No comments: