ye dil vaale bhi kya kya imtehaa-n sweekar karte hai-n,
bana kar kashtiya-n kaghaz ki dariya paar karte hai-n,
ye narmi dhoop ki bas janvary se farvary tak hai,
madad raaho-n me varna per saaya daar karte hai-n,
zaroorat roz ham ko gaaliya-n deti hai ghar aakar,
zaleel-o khwaar ham ko raat din tyohaar karte hai-n
ye sachcha tajruba hai jab bhi chaaho aazma lena,
jo dushman kar nahi-n sakta vo rishtedaar karte hai-n,
koyi to baat hai jis ki abhi tak parda daari hai,
musalsal kyu-n ye taarreefe-n teri akhbaar karte hain-n,
1 comment:
mohabbaton ka shukriya
Post a Comment