Friday, December 6, 2013

munawwar rana

na kamra jaan pata hai na angnaayi samajhti hai,
kahaa,n devar ka dil atka hai bhaujaayi samajhti hai,

hamare aur uske beech ek dhaage ka rishta hai,
hame lekin hamesha vo saga bhai samajhti hai,

tamasha ban ke reh jaaoge tum bhi sab ki nazron me,
ye duniya dil ke taanko ko bhi turpaayi samajhti hai,

nahi tou rasta takne me aankhe beh gayi hotin,,
kaha,n tak saath dena hai ye binaayi samajhti hai,

main har ezaaz ko apne hunar se kam samajhta hu,
hukumat bheek dene ko bhi bharpaayi samajhi hai,

hamari bebasi par ye dar-o divaar rote hain,
hamari chhatpatahat qaid-e tanhaayi samajhti hai,

agar tu khud nahi aata tou teri yaad hi aaye,
bahut tanha hame kuch din se tanhaayi samajhti hai,

munawwar rana,


munawwar rana,

bari karvaahaten hain is liye aisa nahi hota,
shakar khaaye chala jata hu mu,n meetha nahi hota,

dava ki tarha khate jaayiye gaali buzurgo,n ki,
jo achche phal hain unka zaayeqa achcha nhi hota,

hamare shehar me aise manaazir roz miltey hain,
ke sab hota hai chehre par magar chehra nahi hota,

hamari berukhi ki den hai bazaar ki zeenat,
agar ham me wafa hoti tou ye kotha nahi hota,

kisi ki yaad ko dil me basaana theek hai lekin,
ye aisa zakhm hai jo umra bhar achcha nhi hota,

nigaaho me basa lete hai sachche chaahne vaale,
faqat chehra chhupa lene se tou parda nahi hota,

na dil razi na vo razi tou kaahe ki ibaadat hai,
kiya jata hu main sajda magar sajda nahi hota,

munawwar rana,

Thursday, December 5, 2013

munawwar rana

ab apni ana se mujhe dar lagne laga hai,
sehra me na jaane kahi,n sar lagne laga hai,

aage ka safar sirf meri rooh karegi,
ab jism bhi samaan-e safar karne laga hai,

lagta hai ke dehleez par aa pahuchi qayamat,
ek bhai ko ek bhai se dar lagne laga hai,

vaise tou koyi cheez nhi badli hai lekin,
tum jab se gaye ho mujhe dar lagne laga hai,

ae sehra navardi mujhe aabadi se le chal,
kuch roz se zindaa.n mujhe ghar lagne laga hai,

unko nahi maloom ke ghar hote hain kaise,
bachcho,n ko tou futpath hi ghar lagne laga hai,

by, munawwar rana

Wednesday, December 4, 2013

munawwar rana

maula ye tamanna hai ki jab jaan se jaaun,
jis shaan se aaya hu usee shaan se jaaun,

bachcho.n ki tarha ped ki shaakho,n se main kudoo,n
chiriyo,n ki tarha urke main khaliyaan se jaaun,

har lafz mehakne lage likkha huva mera,
main lipta huva yaado,n ke lobaan se jaaun,

kya sookhe huve phul ki qismat ka bharosa,
maloom nahi kab tere guldaan se jaaun,

darbaar me tere mujhe kya rokega koyi,
laanat hai agar pooch ke darbaan se jaaun,

mujh me koyi veeraana bhi aabaad hai shayed,
har saans ne poocha tha biyabaan se jaaun,

zinda mujhe dekhegi tou maa cheekh uthegi,
kya zakhm liye peeth pe maidaan se jaaun,

munawwar rana,

munawwar rana,

mahaajir hain magar ham ek duniya chhor aaye hain,
tumhare paas jitna hai ham utna chhor aaye hain,

khule maidaan me sote the jab tou yaad aata tha,
ki ham aangan me apne ped budha chhor aaye hain,

jise zid karke hamne apne bachpan me khareeda tha,
yahaa,n aate huve,ham vo khilona chhor aaye hain,

abhi tak pyaas ki shiddat me hamko yaad aata hai,
ki aangan me kunva paani ka meetha chhor aaye hain,

kahaani ka ye qissa aaj tak sabse chupaya hai,
ke ham mitty ki khatir apna sona chhor aaye hain,

abhi tak neend aankho se ladaayi karti rehti hai,
ki  ham khwaabo ko apne kyu adhura chhor aaye hain,

hame ye baat batlaate huve bhi sharm aati hai,
ki ham marte huve logo ko tanha chhor aaye hain,

kayi aankhen abhi tak ye shikaayet karti rehti hain,
ke ham behtey huve kajal ka dariya chhor aaye hain,

kisi se ham taqaabul tou nahi karte hain haa,n lekin,
ham apne ghar me sab logo ko sota chhor aaye hain,

wazaarat bhi hamaare vaaste kam martba hogi,
ham apni maa ke haatho me nivaala chhor aaye hain,

agar likhne pe aa jaaye,n syaahi khatm ho jaaye,
ke tere paas aaye hain tou kya kya chhor aaye hain,

munawwar rana,





munawwar rana,

ek zakhmi parinde ki tarha jaal me ham hain,
ae ishq abhi tak tere janjaal me ham hain,

maa khwaab me aakar ye bata jati hai har roz,
boseeda si ordhi huyi ek shaal me ham hain.

haste huve honto ne bharam rakkha hamara,
vo dekhne aaya tha ke kis haal me ham hain,

ab aapki marzi hai sambhaale na sambhaale,
khushbu ki tarha apke rumaal me ham hain,

main phut ke rone laga jab maut ke dar se,
neki ne kaha naama-e amaal me ham hain

ham thak ke kahi,n baithne vaale nahi hargiz
ek hirni ki langraati huyi chaal me ham hain,

hamne bhi sanvaare hai,n bahut gesuve urdu,
dilli me agar aap hain bangaal me ham hain,

munawwar rana

munawwar rana

naye kamro me ab cheeze,n purani kaun rakhta hai,
parindo ke liye shehro me paani kaun rakhta hai,

kahin bhi in dino meri tabiyat hi nahi lagti,
teri jaanib se dil me badgumani kaun rakhta hai,

hamee girti huyi deevaar ko thaame rahe varna,
saleeqe se buzurgo ki nishani kaun rakhta hai,

ye registaan hai chashma kahi,n bhi phut sakta hai,
sharafat is sadi me khandaani kaun rakhta hai,

hamee bhule nahi achche bure din aaj tak varna,
munawwar yaad mazi ki kahani kaun rakhta hai,

munawwar rana,

Sunday, December 1, 2013

munawwar rana

manzar tumhare husn ka sabki nazar me hai,
ab mere etbaar ki kashti bhanwar me hai,

tanha mujhe kabhi na samajhna mere hareef,
ek bhai mar chuka hai magar ek ghar me hai

vo to likha ke layi hai qismat me jagna,
maa kaise so sakegi k beta safar me hai,

suni pari huyi hain bahen ki hatheliyaa
phal pak chuka hai aur abhi tak shajar me hai,

pardes se vatan ka safar bhi ajeeb hai,
main ghar pahuch gaya hu badan rehguzar me hai,

kal oske dil pe kiska ho qabza khabar nahi,
ab tak to ye ilaaqa hamaare asar me hai,

munawwar rana,

munawwar rana

aaye ho to ek mohre-gadagar bhi laga do,
is chaand se maathe pe ye jhumar bhi laga do,

ajdaad ki khushbu mujhe jeene nahi degi,
is ped ke neeche mera bistar bhi laga do,

mumkin hai mere baad ki naslen mujhe dhundhen,
buniyaad me ek naam ka patthar bhi laga do,

is jang me haare hue kehlaaoge tum hi,
chaaho to numaayish me mera sar bhi laga do,

ab sirf jahaazo me safar karti hai pagli,
bachpan me jo kehti thi mere par bhi laga do,

ye baazi to main hath se jaane nahi dunga,
tum daaov pe is baar muqaddar bhi laga do,

munawwar rana,

munawwar rana

dariya ko zom tha k main dhaarey pe aa gaya.
lekin main bach bacha k kinaarey pe aa gaya,

mujh ko bulaane vaalo,n ne umren nikaal dee,n,
lekin main tere ek ishaare pe aa gaya,

uska tamaam husn hamaari nazar me hai,
kashmeer saara ek shikaarey pe aa gaya,

saanso ki dor toot bhi jaaye tou gham nahi,
shukr-e khuda main aakhri paarey pe aa gaya,

munawwar rana,

munawwar rana

kahaa,n rona hai mujhko deeda-e purnam samajhta hai,
main mausam ko samajhta hu mujhe mausam samajhta hai,

zabaa.n do chaahne vaalo ko shaayed door kar degi,
main bangla kam samajhta hu vo urdu kam samajhta hai,

hamaare haal se sab chaahne vaale hain nawaaqif,
magar ek bewafa hai jo hamara gham samajhta hai,

mohabbat karne vaala jaan ki parva nhi karta,
vo apne paanv ki zanjeer ko resham samajhta hai,

kahaa,n tak jheel me pani rahe aankhen samajhti hai,n
kahaa,n tak zakhm ko bharna hai ye marham samajhta hai,

munawwar rana.