Monday, May 18, 2020

Atbaaf abrak

Dushman --
e jaa,n ko maat kar lije,
Chaar din ehtyaat kar lije

Apne ghar ke hasee,n makeeno ko,
Apni kul kaynaat  kar lije.

Reham khud par agar nahin aata,
Apne bachchon ke sath kar lije.

Ye koi qaid hai ke ghar baithe
Jis se ji chaahe baat kar lije.

Dil mila lijiye ijazat hai,
Door lekin ye hath kar lijje.

Fikr apni har ek se pehle,
Kaam hai wahiyaat kar lije.

Ye hifazat bhi ik ibadat hai,
Jis qadar hai bisaat kar lije.

Aaj mouqa hai maal o doulat ko,
Apni raahen nijaat kar lije.

Itbaaf abrak

Ameer kazalbash

Mire haal par meharbani kare,
Khuda se kaho hukm-e sani kare.

Main ik bund pani badi cheez hun,
Samundar miri pasbani kare,

Padhen log tehreer e divar o dar,
Khulasa miri be-zabani kare.

Azal se main uske taaqub me hun,
Jo lamha mujhe ghair-fani kare.

Vo bakhshe ujale kisi subha ko,
Koyi sham roushan suhani kare.

Mire saye me sab hain mere siva,
Koyi to meri sayebani kare.

Koyi hai jo badh ke utha le "amir"
Vo tesha jo paththar ko pani kare.

Ameer kazalbash

Tehzeeb hafi

तुम क्या जानो उस दरया पे क्या गुज़री,
तुमने तो बस पानी भरना छोड़ दिया।

Tum kya jaano us dariya pe kya guzri
tumne toh bas paani bharna chhod diya.

लड़कियाँ इश्क़ में कितनी पागल होती हैं,
फ़ोन बजा और चूल्हा जलता छोड़ दिया।

Ladkiyaan ishq me kitni pagal hoti hain,
Phone baja aur chulha jalta chhor diya.

Tahzeeb Hafi
.
https://youtu.be/0-Cneevi3bQ